Eye Care Tips in Hindi – Kare Aankho ki Sahi Dekhbhal
21:10:00Aankhe hamare sharir ka ek mahatvapurn anga hai jiske bina ham koi kaam nahi kar sakte. Aankho ke bina ham apne aaspas ki kisi chizo ka aanand nahi le sakte. Aankhe hai to jahan hai. Isliye hame apni aankho ki bhi dekhbal karne ki jarurat hai.
Compute, mobile, ipad, samrtphone jaisi chizo ka istemaal din pratidin badhta jaa raha hai. Jo hamari Aankho ko nuksaan pahuchata hai. Natijanat aankhe kamjor hoti hai. Kai logo ki aankho par to itna bura prabhav padhta hai ki bina chasme ke to unhe thik se dikhai bhi nahi deta. Vaise Aankho mai samasay hone ke aur bhi bahut se lakshan hote hai jaise, aankho mai bharipan mehus hona, aankho ka laal hona, pani aana, rango ka saaf na dikhna. Jisko hum kabhi bhi najranadaz kar dete hai.
Isliye jis tarah ham apne chehre ki dekhbal karte mai koi kasar nahi chodte. Usi tarah hamari aankho ko bhi dekhbal ki jarurat hai. To aaiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Eye Care Tips in Hindi. Jisse ki inn tariko ke dwara aap aasni se apni Aankho ki sahi dekhbhal kar sakte hai.
Eye Care: Aankho Ki Dekhbhal Ke Liye Apnaye Yeh Tarike
Poshtik Aahar Ka Sevan Kare
Aankho ki Dekhbhal ke liye sabse jaruri agar kuch hai to wo hai poshtik aahar ka sevan karna. Iske liye hame dher sari hari sabjiya khani chahiye. Ise khane se jald hi aapki aankho ki roshni bhi badhegi aur sath mai aapka chehra bhi khil uthega. Kyoki hari sabji khane se khoon badhta hai.
- Roj subah khali pet 9-10 patte palak khaye, isse aapke aankho ki roshni badhegi aur khoon ki kami bhi dur hogi.
- Gajar mai aawla,chukandar(Beetroot) milakar iska juice nikale aur roj 2 gilas piye. Fir dekhiye aapki aankho ki roshni hi nahi badhegi balki anya rog bhi dur ho jayenge.
Dhumrapan Chode
Dhumrapan karne se aapke aankho ki tantrika ko kshati pahuchti hai sath hi motiyabind hone ki aashanka bhi badh jati hai. Isliye apni aankho ki surakhsha ke liye aaj se hi dhumrapan karna chode.
Aankho Ka Vyayam Kare
Hum sabhi jante hai ki sharir ko fit rakhne ke liye vyayam kitna aavyashak hai aur iske liye hum kai cheeze jese- gym, jogging aur summing karte hai. Lekin kya aapko pata hai ki, sharir ke anye bhago ke vyayam ki tarah aap aankho ki exercise bhi kar sakte hai. Eye exercise, Aankho ko swasth banaye rakhati hai aur inn par padne vale tanav ko kam karane mai bhi madad karti hai.
Karne Ki Vidhi:
- Apne haatho ki beech ki teen ungaliyo ko upri palako par dheeme se rakhe. Unhe halke se rarkhkar 1 se 2 second rakh kar aankho ko band rakhe aur uske baad chhod de, iss parkriya ko 5 bar dohraiye.
- Ek kursi par beth jaiye. Apne dono hatho ki hatheliyo ko ragd kar garam kar lijiye. Fir apni Aankho ko band karke yeh garm hatheliyo se halke se unhe cover kar lijiye. Bas dhyan rahe ki eyeball par pressure na pade. Aankho ko iss prakaar cover kare ki ungaliyo ya hatheliyo ke beech se un par roshani ki ek kiran bhi na pahuch paye. Iss douran aap dheeme se gahri saans le aur kisi acchi se ghatna ke baare mai ya future mai hone vali kisi acchi baat ke baare mai soche. Iske baad aap hatheliyo ko hatha le aur dheeme se aankho ko khol le. Iss prakriya ko din mai kam se kam 2 minutes ya usse jyada kare.
- Apni aankho ko clockwise ghumaiye aur uske baad anticlockwise ghumaiye. Iss prakriya ko 5 baar dohraiye, har baar ise karne ke baad Aankho ki palako ko hila le.
- Kisi dur rakhi cheez par 10 se 15 second ke liye nigaha tharaiye. Uske baad, apni Aankho ko dheere -dheere dusri jagah le jaye. Bas fir thodi der baad punha usi isthiti mai vapas aaye. Bas dhyan rahe ki iss douran aapka sar nahi ghumna chahiye. Iss parkriya ko 5 se 10 baar kare.
- Eye Care Tips mai iss exercise ka naam sabse pahle aata hai. Aankho ko upar kare aur fir neeche kare. Aisa kam se kam 8 baar jarur kare aur fir iss prakriya ko daye se baye kare. Lekin dhyan rahe ki iss exercise ke douran aankh kisi aur disha mai nahi jaye varna aapki Aankho ki roshni aachi hone ki bajaye kharab ho jayegi.
Eye Massage Kare
Eye Massage bhi aapki aankho ke liye bahut jaruri hoti hai. Iske karne ke liye do toliye lijiye. Iske bad ek ko garam pani mai aur ek ko thande pani mai bhigo dijiye. Fir kisi ek towel ko lijiye aur chehre par halka sa dabav daalte huye ghumaiye, apne eyebrow aur Aankho ke aas-paas ke area mai aaram se isse ghumaiye.Iss douran apni palko ko band kar lijiye taki aankho mai pani na jaye. Iss parakaar dono toliye se iss parakriya ko kijiye.
Palko Ki Massage
Apni Aankho ko banh kar le aur apni ungaliyo ko sir par halke–halke se golaiye mai ghumaiye, aisa 1 se 2 minutes tak kare. Bas dhyan rahe ki iss prakriya ko aap bahut dheemi gati se kijiye.
Anya Tarike Inhe Bhi Jane
- Lgatar rozana do se teen ghante computer par work karne se vyakti mai computer vision syndrome ke lakshan dekhane ko mil sakte hai. Isliye computer par lagatar kaam karne se bache.
- Jab bhi computer ke par bethe to har 20 minutes ke gap mai 20 second ke liye screen se najare hata dijiye aue 20 feet dur kisi fixed point par focus kare.
- Jis kamare mai computer ho usme uchit prakash hona jaruri hai. Jyada tez roshni bhi nahi honi chahiye tatha prakash peeche se hone chahiye.
- Eye movement aankho ko behtar karne mai laabhkari hai. Office ya ghar par monitor ko kuch iss tarah set kare ki aankhe monitor ke top level par ho.
- Sharir ki tarah hamari aankho ko bhi sahi dekhbhal ki jarurat hoti hai. Yaha padhiye Eye Care Tips in Hindi jiski madad se aap swasth aankhe paa sakte hai.
0 comments